A Journey in the Annihilation of Self for the Guide
This kalam radiates the beautiful teachings of the Naqshbandi tradition,
guiding hearts toward humility and divine love through Shaykh Nazim Al-Haqqani's wisdom.
_________________________________________________________________________________________________________
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Man Arafaa Nafsahu, Faqad Arafaa Rabbahu
Jisne Jaana Hai Khud Ko, Usne Jaana Hai Rabb Ko..
-
Darwesh Banjaa Murshid Ka Tu Falah Ko Paayega
Kabtak Bhatkega Khaadim Deewaana Deedaar Kaa
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Mai Se Meri Jang Jaari, Rehti Hai Har Dam Khadim
Ek Pal Rehta Roohani, Toh Duja Hai Nafsani
Ek Pal Rehta Nafsani, Toh Duja Hai Rehmani
-
Unki Pohoch Tu Kya Jaane Kaaba Qausain Au Adna
Khadim Unke Dil Mein Baith Phir Wo Jahan Hai Tu Wahan
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Haqq Ki Talaash Mein Bhatkey, Kyu Bhatkey Hai, Naa Jaaney
Wahi Se Tu Aaya Hai, Aur, Wahi Toh Jaana Hai
-
Ye Pinjra Khul Jayega Aur Panchi Udh Jayega
Doh Pal Ka Thikaana Hai, Musafir Tujhko Jaana Hai X 2
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Aankhein Bandh Kar Dil Mein Dekh, Qalb-Ul-Moomin Arshullah
Khadim Jisko Tu Dhunday, Wo Teri Shai Rag Se Kareeb
-
Thokar Khata Phirta Hai, Miskin Khadim Bekhabar
Qatra Nahi Tu Samandar Hai, Yeh Mere Murshid Kehte Hai
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Ye Dunya Toh Faani Hai, Arwaah Hamari Jaani Hai
Tu Mitti Mil Jayega, Sab Kuch Yahin Reh Jaayega
-
Naqsh Bandh Kar Le, Dil Pe Tere Maaneenaa Tu Payega
Unki Tawajjo Aayegi, Dil Zinda Ho Jayega
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Shaykh Nazim Al-Haqqani, Mere Murshid-E-Kareem
Naqshbandi Wo Sultan Hai, Kya Teri Kismat Hai Khadim
-
Elahi Anta Maqsoodi, Wa Ridaka Matloobi
Ye humne Tumse Seekha, Murshid Nazim Al Haqqani
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Shaykh Mehmet Abh Vaaris Hai, Vaaris Hai Shaykh Nazim Ke
Hum Toh Unke Khaadim Hai, Jinke Waalid Nazim Hai
-
Arsaa Hua Abh Der Na Kar, Apni Anaa Ko Chordh De Tu
Un Pe Fana Ho Jayega, Rabb Ki Raza Tu Paayega
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
Qabr Andheri Tanhayi, Aatish Se Bach Jayegaa
Un Se Muhabbat Kar Le Tu, Saaqiye Kausar Paayega
-
Aashiq Banda Murshid Ka, Harr Pal Yun Hi Jeeta Jaa
Sharbat-e-Ishq Peetaa Jaa, Aalam Aalam Badhta Jaa
Allahumma Salli Salli Ala Mohammad ﷺ,Wa Alaa Aalihi Wa Sahbi Wa Sallim (2)
♥ Written by ♥
♥ Sayyedi Shaykh Ashraf Ali Naqshbandi ♥.
Mashallah very beautiful kalam❤️
ReplyDelete